Ao Ab Anjam Likhain
Feb 3, 2006
poem
"Ao ab anjam likhain, zeest ki iss kahani ka
jis mein khawahish naam ka jogi,
aas ka asan dalay kab say
waqt kay agay jhuka para hay"
har anjam ki yehi katha hay!
har anjam par kabhi hua hay?
khatm ka tum nay lafz suna hay
faqat suna hay!
khatm ki iss sarhad ka aakhir darhaqeeqat woh aasra hay
jis ki bina per khel rawaan hay
tu nadaaan hay
khatam bhala kab khatam hua hay!

