| « July 2008 » | ||||||
|---|---|---|---|---|---|---|
| S | M | T | W | T | F | S |
| 1 | 2 | 3 | 4 | 5 | ||
| 6 | 7 | 8 | 9 | 10 | 11 | 12 |
| 13 | 14 | 15 | 16 | 17 | 18 | 19 |
| 20 | 21 | 22 | 23 | 24 | 25 | 26 |
| 27 | 28 | 29 | 30 | 31 | ||
Recently by Abee
- Harf e Aakhir Kisi Laparwah Ke Naam
- Harf e Dua
- Some Rules Of Loving Women
- Shaheen... Hawa Ka Shahsawar
- list of work
- P.S
- Woh Sunehrey Din
- KHAMOSH MOHABBAT
- mark Of A Winner...
- Tu Bhi Dil Sey Utar Na Jaaye Kahein
- Khud Kushi
- Azaar Pasand
- Could Have Been Beautiful
- Bazm e Tanhai
- Sunehri Shaaam
- Tumhain Jaane Naheen Dain Gay
Yehi eik aakhri lamha hai shayad jab hum jee bhar ke eik dusrey ko dekhain gay. Yun ru baru baith kar batein karna ab humain naseeb kahan ho ga. Aaj hum ne socha ke zabt e jaan parakhtey hain aur hath chor daitey hain. Aaj dil mein aur dard ki jagah baaki nahin. Aye meray khush fehm o nadaan mehboob, tujhe kya chahiye? Tum mujh sey ikrar e wafa chahtey ho aur dekho humaree kam naseebi keh hum na chahtey huay bhi aaj do dil torney waaley hain, eik tumhara aur dusra apna. Aaj palkon ko uthana mushkil lag raha hai. kahan sey himmat laoun ke tumhari aankhon mein aankhain daal ke keh sakoun ke mein tum sey pyar nahin karti. Kya tumhain meray chehrey pe thehra dard aur hasratein dekhaii nahin daiti? Aaj mein kitni bechargi sey uss aakhri lamhe ki tamheed bandh rahe hun aur tum ho keh samajhtey hi nahin. Meray inkaar ko meri haya aur lihaaz samajh rahe ho. Apnee dhun mein najaane dil ki kon kon si batein karte jaa rahe ho. Sunehri shaam ki kirnain kirki mein sey chan chan kar aa rahe hain aur meray chehrey ko aur humarey darmian ke zara sey fasley ko apne rang mein sunehra kiyey huay hain. Tum muskuratey huay mujhe jee bhar ke dekh rahe ho aur mein apni palkon ki larzish ke bawajood kabhi tumhain dekhti hun aur kabhi dhaltey sooraj ko. Kitna accha lagta hai yeh zardi mayal rang tumhari kameez ka. Tumharey chehrey mein khila noor aur roshan lagta hai andheray aur roshni ke is khail mein. Iss lamhe mein bhi tumhari aawaz ki khanak dil ko aisey tasalli deti hai jaisey kisi mehrbaan ne humain galey sey laga keh pyar kiya ho.
Humarey darmian kitni kurbatein hain aur kitne fasley. mein chahti hun ke hath barha ke tumharey hath ko pakrun. dekhoun ke yeh hath ager pakar liya to kya koi chura paye ga. mein tumharey chehrey sey tumharey hathon ki taraf nigah karti hun to tum bhi waheen dekhne lagtey ho. Shararat tapakti hai tumharey lehjey sey aur tum poochtey ho keh kya hua. Dheemi si muskurahat sey mein keh daiti hun ke kuch nahin. kaisey bataoun ke aaj tumhain jee bhar ke pyar karne ko jee chah raha hai. Dil mein hai keh aaj yeh gulistan bikharne sey pehle iss ki mehak ko eik aakhri baar mehsoos kar lun. Tumhari aankhon mein hazaron khwabon ki dhanak rehti hai, aaj mein unhain itne kareeb sey dekhoun ke palkain palkon ko chu lain. Tumharey honton ki shararat ko apne laboun pe mehsoos karna chahti hun. Inn bahoun ki mazbooti ko aur iss dil ki dharkan ko zehn mein nakhs karna chahti hun. batao mein itni nadaan kyun hun? Jab yeh sab sirf eik ikrar sey mujhe mil sakta hai to phir mein tumhain aur khud ko iss imtihaan mein kyun daal rahe hun? Yeh dunya dari aur yeh maslihatein humain kyun juda kar rahe hain? mein kya karoun ke mera khuda, meray apney aur mera dil sab eik hi baat pe raazi ho jain? Kyun mile ho tum mujhe jab mein tumhain apna nahin keh sakti? Jee chahta hai keh aaj mein ikrar kar lun mohabbat ka aur tum mujhe jee bhar ke pyar karo aur hum yunhi in sunehri kirnon mein dair tak baithey rahein. Magar mera dil meri akal ke sakht pehrey mein hai, aur mein jaanti hun keh sehra mein gulab nahin khiltey. Hum mil bhi jain to rahein gay kahan?
Tum kitney sayaney ho ke meray lakh uzer bananey par bhi, mujhe har baat samjhatey ho. Mein tumhain kaisey kayal karoun ke hum mil nahin saktey? Tum ho keh har baat mein apni ulfat ka wasta daitey ho. Kehtey ho ke mein tum par yakeen karoun. Ager yakeen na hota to tumhain aisey dil dai diya hota. magar beyakeeni tum par nahin zamaney par hai. Koi kisi sey itna pyar na karey aur ager karey to koi kisi sey judaa na ho! Tumharey samney meray dil ki kya basaat ho keh iskey har khauf, khwab aur khwahish ke tum saathi aur rehbar ho. Mein tumhain woh sab mushkilaat batati hun jo mein ne pehron sochi magar tum har baat ko yun suljha daitey ho keh mujhe apni nadani par hairat hoti hai. Mein tumhain tumhari asoodgi aur behtari ke rastey batati hun aur tum kehtey ho keh hum jis rah pe chalein gay saath saath chalein gay. batao to bhala keh mein kaisey tumharey saath ki khwahish na karoun keh tum jo meray sang hotay ho to meri dunya mein rang aur roshnian thehr jaati hain. Mein kya parkhoun gi tumhain, tum meri zaat ka hissa ban gaye ho aur tumhain aazmana na mumkin sa hai. magar jaan meri, yeh mushkilain to hain na, chahey tum na mano. kaisey kehtey ho keh zindagi ki aakhri sans tak intezaar karo gay mera aur ab mujhe bhi humaree ulfat ka rishta ustawar karna ho ga. tumhari mohabbat mein kon jee paaye ga itna, hum itney pyar mein dam torr dain gay. Koi humain iss shiddat aur iss ustawari sey chahey to hum uski bandagi karne ko tayyar hain! Phir bhi akal ke tabeh mein ne tumhain manah kar diya. Imkaar ke ilfaaz jaisey tum suntay hi nahein. Bas nazrein jhuka ke khamosh ho jaatey ho aur phir wohi apni dillagi ki batein kehne lagtey ho, jaisey meray dil ke haal sey wakif ho.
Jaane sey pehley mein tumharey samney kharee tumhain dekh rahe hun. Tum muskuratey huay yunhi khamosh kharey ho. Mein udasi sey kehti hun ke yeh humaree aakhri mulakaat hai. Abhi tumharey honton ki hansi nahin sirki. Shayad tumhain yakeen nahin aaya keh mein tumhain chor kar jaa rahe hun. Tum pyar sey kehtey ho keh jaisa tum chaho. Magar mein yahan hun, humeesha. Tumhain apni azadi chahiye aur mujhe tum. Meray wajood mein eik ajeeb ehsas e zayan aur dard hai. Dil chahta hai keh aakhri mulakaat mein koi kamzor lamha hona chahiyey keh humain humesha yehi kurbatein yaad rahein. magar hum faqt tumhain dekhne par iktifa kar laitey hain. Kis kafir mein itni himmat hai ke tumharey lams ke baad akal ki koi bhi baat sun paaye. kirki ke bahir chaya andhera humaree sunehri shaam ka mukaddar hai, aur humarey dil mein yehi tareeki tumhari judaii.
add to my favorite ilogs
flag objectionable content
Abee
- Interacts: 24
- iLogs: 33
- Gallery: 5
- Page views: 17818
- Last visitor: guest
- Member since: Oct 22 2003
- Last signin: Jul 13 2008
- Send a message
- Add as friend
- Add to ignore list
- Add to block list


