unflinching idealism ... since 1997 archivessitemapabouthelpfeedback
all are welcome to read, write and think
  • Home
  • InFocus
  • Themes
  • Columns
  • Articles
  • Fiction
  • iLogs
  • Gallery
  • Unplugged
  • Writers
  • Interactors
  • Tags
Sign in | Join Chowk
web chowk
« July 2008 »
SMTWTFS
1 2 3 4 5
6 7 8 9 10 11 12
13 14 15 16 17 18 19
20 21 22 23 2425 26
27 28 29 30 31

Recently by Abee

  • Harf e Aakhir Kisi Laparwah Ke Naam
  • Harf e Dua
  • Some Rules Of Loving Women
  • Shaheen... Hawa Ka Shahsawar
  • list of work
  • P.S
  • Woh Sunehrey Din
  • KHAMOSH MOHABBAT
  • mark Of A Winner...
  • Tu Bhi Dil Sey Utar Na Jaaye Kahein
  • Khud Kushi
  • Azaar Pasand
  • Could Have Been Beautiful
  • Bazm e Tanhai
  • Sunehri Shaaam
  • Tumhain Jaane Naheen Dain Gay

iLog Categories

  • All
  • Personal
  • Fiction
  • Poetry
  • Travel
  • Work
  • Sports
  • Books
  • Movies
  • Music
  • Philosophy
  • Politics
  • Humor
  • Religion
  • Chowk
  • Other
  • Abee
  • Intro & Favorites
  • iLogs
  • Gallery
  • Interacts

Khud Kushi

Posted: Mar 1, 2005 Tue 11:06 am     Views: 366    Interacts: 0

Aaj besakhta khayal aaya keh jeena chor daitey hain. Hum ne
umer ke kitney hi utar charhao dekh liye. ghum o Khushi ke
kitney hi mausam miley aur bicher gaye. Ab jo bhi ho ga woh
iss mausam sey behter nahin ho ga. Ab koi khushi iss josh o jazbey sey dil ki dehleez ko par nahin karey gi aur koi bhi
ghum itna namukhtatum nahin ho ga. Ab jo pal bhi guzrey ga
wo kisi aur pal ki yaad mein guzrey ga. Dil ne kaha ke phir
kya faida iss baazgasht mein jeeney ka. Abhi jab sab kuch
yak baar mehsoos kar liya to in mohabbatoun ke darmian koi
shairana sa ikhtataam dhoondh laitey hain. shayad humain
zindagi sans laitey rehne ke bawajood us tarha yaad na kar
sakey, jaisey eik lajawab jawaan maut ke baad yaad rakkhey
gi. Hazaron apney parai, jab bhi kisi anokhi baat ka zikr
karein gay to humari jaisi khoobtar zindagi aur pur’asraar
maut ka tazkira chal nikley ga. Aur hum aasmanon pe kaheen
iss aakhri nazam ki lazzat liye apne kadar danon ko dekh
kar mehzooz hon gay.

Abhi yeh soch mukammal bhi nahin hui thi keh zehn mein
khayal aaney laga keh log maut sey dartey kyun hain? Ager
zindagi ka ikhtataam hatmi hadd hai, to kya anokha sakoon
hai keh jis ko kabhi bekarari nahin milley gi. Aur ager
kabar ke kisi goshey sey koi khuda nikal aaya, to khoob
mehfil sajjey gi. Tasveer ka woh rukh jo hum ne faqt socha,
hum dil ki aankh sey dekhain gay. ager sawal jawab barhaq
hai, to kitney sawalon ke jawab humain bhi poochney hain
khalik sey. To phir maut ko to wakehi momin ki meraj aur
muhafiz hona chahiyey. Humain to bekarari sey intezaar hona
chahiye waqt e wisaal ka. Kab apne khuda sey milain gay aur
woh sab kuch keh payain gay, jo tanha raaton ke sajdon mein
jah e namaz par aansooun sey kehtey aaye hain.

Ab jee iss fikr mein gum hai ke jaaney ka kya samaan
karein. zehn ka koi hissa malamat karta hai keh hum maut ka
faisla khud nahin kar saktey, mager humain shouk e wisaal
mein yeh hosh kahan keh kabhi jannat o jahannum ka sawl bhi
utthay ga. Humara mehrbaan khuda, humarey ishq ka mumba o
markaz, iss shauk e deedaar ko gunah kaisey samajh sakta
hai. Aur hum malangon, darwaishon ka iss jahan e rang o bo
mein kya kaam? Chalo accha hua keh aaj iss shiddat sey
khayal e safar aa hi gaya keh hum samaan e aakhir karne
lagey. Maloom hua keh humain kuch bhi darkaar nahin. Yahan
kuch aisa nahin jis ki humain yahan khwahish ho, to phir
wahan in cheezon ka kya kaam. humain to libas ki bhi fikr
nahin, ke koi mehrbaan humarey aakhri pairahan ka bandobast
az rah e karam ya fi amanullah kar dai ga. Besakhta
muskuraney lagey keh sufaid rang hum pe jachta bhi barra
hai. Khair, apne aaka o mola ke ru baru kis kafir ko khayal
aaye ga zaibaish ka. Lekin yeh humari bashriyat hai ke
chahtey hain ke uske samney behtereen andaz mein jayein.

Sochtey hain keh kon sa tareeka sada o aasaan rahey ga.
Aakhir humain apney pyaron pe bhi kuch reham karna hai keh
jab woh humarey jisd e khaki ko dekhain to unhain sadma na
ho. mager tareeka itna dushwaar bhi nahin hona chahiyey keh
hum beech rastey apna irada badal lein, ya phir woh asoodgi
jis ki taraf jaaney ki tamanna hai woh darmian mein mehav
ho jaaye. Abhi ilm e abdaan ke paich o khum soch rahey thai
keh khayal aaya, keh dushwaar maut nahin, jeena hai.
Imtehaan e bashar zeest mein pinhaan hai, wagerna kaid e
hayat sey azadi har chand sehal hai. Hum to uss noor ki
taraf chaley jain gay jis ki lao humin pukarti hai, mager
un logon ka kya ho ga jo humarey peechay reh jain gay. Unke
roz o shab kis kyamat mein guzrain gay. Unki wahshaton ka
koi sathi na ho ga. Apne lehed pe baith kar aansoo bahaney
walon ko pursa kaisey dain gay hum. kaisey kahein gay keh
hosla karo kyunke hum khush hain. Hum apne jaan lai kar
unki zindagi ka eik hissa bhi cheen lain gay unsey. unke
muskurahaton mein aansoun aur dard ki milawat na unhain
jeeney dai gi aur na marne dai gi. phir dil nikla sadaa ka
insaan dost aur mehrbaan. Apne asoodgi ka rasta dekh kar
bhi jeeney ki batein karne laga. Besakhta hath ki lakeeron
par nazar gaye aur hum ne eik sard aah bharri. Arrey yahan
to saal ha saal ki tehreer maujood hai. Humain to itna sa
safar bohot lagta hai. Ager khuda sey hi azadi mang lon to
kya woh bhi burra hai? Humain koi lambi umer ki dua na dai,
hum to jaaney ke liye tayyar baithey hain, aur bulawa nahin
aata. Anb kis ko kahon ke yun gum sum si kyun baithi hun.
Itne dinon baad aaj besakhta khayal aaya tha keh jeena chor
daitey hain, aur humain zeest azad nahin karti!


+ add to my favorite ilogs + flag objectionable content



Abee

  • Interacts: 24
  • iLogs: 33
  • Gallery: 5
  • Page views: 17774
  • Last visitor: guest
  • Member since: Oct 22 2003
  • Last signin: Jul 13 2008
  • Send a message
  • Add as friend
  • Add to ignore list
  • Add to block list

Favorite iLogs

  • My MUSIC PAGE
  • The Cup of Coffee............... an interesting article tht i came across
  • An Occult Religion behind an Islamist fascade
  • The Circus
  • Perspective

Top 5 Articles This Week

  • Popular
  • Dhokha and Being a Muslim in India
  • Why is Karachi Turning Into a Sell-Out?
  • Time for Musharraf to Quit
  • Fields Of Joy
  • What's In a Name?
  • Featured
  • There are a Lot of Monkeys
  • White Charade
  • Words of a Woman
  • FOX News and the Smelly Shoes
  • Dilemmas of Creative Children
  • 10 Years Ago
  • Disowning Altruism
  • Between the Devil and the Deep Sea
  • Abdus Salam
  • Say No to Indian and Pakistani Bombs
  • Articles and Opinions on the Recent Nuclear Tests - Part II

Write on Chowk Interact Guidelines Privacy policy Terms Contact

Copyright © 1997 - 2008 chowk.com. All Rights Reserved
Reproduction of material on any www.chowk.com pages without prior written permissions is strictly prohibited