| « August 2008 » | ||||||
|---|---|---|---|---|---|---|
| S | M | T | W | T | F | S |
| 1 | 2 | |||||
| 3 | 4 | 5 | 6 | 7 | 8 | 9 |
| 10 | 11 | 12 | 13 | 14 | 15 | 16 |
| 17 | 18 | 19 | 20 | 21 | 22 | 23 |
| 24 | 25 | 26 | 27 | 28 | 29 | 30 |
| 31 | ||||||
Recently by StrangerSoul
nisaar main terii galiyon ke ae watan kay jahaan
chalii hai rasm kay koi na sar uthaa kay chalay
jo koii chaahany waalaa tawaaf ko nikale
nazar churaa ke chalay jism-o-jaan bachaa ke chalay
hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushaad
ki sang-o-Khisht muqayyad hain aur sag aazaad
bahot hain zulm ke dast-e-bahaanaa-juu ke liye
jo chand ahl-e-junuun tere naam levaa hain
bane hain ahl-e-hawas muddaii bhii munsif bhii
kisay wakiil karen kisay se munsifii chaahen
magar guzaranewaalon ke din guzarate hain
tere firaaq main yuu subh-o-shaam karate hain
bujhaa jo rauzan-e-zindaan to dil ye samjhaa hai
ki teri maang sitaaron se bhar gaii hogii
chamak uthe hain salaasil to hamane jaanaa hai
ki ab sahar tere rukh par bikhar gaii hogii
Garaz tasavur-e-shaam-o-sahar main jite hain
giraft-e-saayaa-e-diwaar-o-dar main jiite hain
yuu hii hameshaa ulajhatii rahii hai zulm se Khalq
na unakii rasm naii hai na apanii riit naii
yuun hi hameshaa khilaaye hain hamane aag main phuul
na unakii haar naii hai na apanii jeet naii
isii sabab se falak ka gilaa nahin karate
tere firaaq men ham dil buraa nahin karate
Gar aaj tujhase judaa hain to kal baaham honge
ye raat bhar kii judaai to koii baat nahiin
Gar aaj auj pe hai taala-e-raqiib to kyaa
ye chaar din kii Khudaaii to koii baat nahiin
jo tujhase ahd-e-wafaa ustavaar rakhate hain
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nihaar rakhate hain
add to my favorite ilogs
flag objectionable content
StrangerSoul
- Interacts: 0
- iLogs: 9
- Gallery: 0
- Page views: 2390
- Last visitor: guest
- Member since: Dec 15 2004
- Last signin: Nov 29 2007
- Send a message
- Add as friend
- Add to ignore list
- Add to block list


