| « October 2008 » | ||||||
|---|---|---|---|---|---|---|
| S | M | T | W | T | F | S |
| 1 | 2 | 3 | 4 | |||
| 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10 | 11 |
| 12 | 13 | 14 | 15 | 16 | 17 | 18 |
| 19 | 20 | 21 | 22 | 23 | 24 | 25 |
| 26 | 27 | 28 | 29 | 30 | 31 | |
Recently by bluegaze
Ek Khawab hai buss
kabhi tau sukhun may wo zore parba ho ga
kar day jo tumharay dil ko majrooh
Phir tumharay bhi seena-e-bismal say
Padia ho gi ek zakhmi cheekh
Aisay hi jaisay meri awaz
Goonjti hai jalli matti say
Tameer shudda kachhi emaraat may
Jin ka saaiya sehra may taweel ho raha hai
Ek Khawab hai buss
Tum ao aur sunno
Dil-e-kastaa ki dastan-e-uftaad
Jhilmilatay tarroan say pur kaalay aasmaan kay tallay
Tareek sehra kay pur sakoot asaar may
Jehan kai majzoob Ahal-e-ishq ab nahi hain
Iss dasht-o-bayabaan kay sitam nay
Un ka nishaan bhi mahev kar diya
Ek khawab hai buss
Tum Laalaa-e-saharaa ho
Aur mujhay apni mahek say
Mu-attar karti ho
Iss wairanay may zindagi si dor jati hai
Phir har uss shakh par jo nahi hai
Bohat say gul khil kar murjah jatain hain
Ek Khawaab ho tum
add to my favorite ilogs
flag objectionable content
bluegaze
- Interacts: 41
- iLogs: 164
- Gallery: 1
- Page views: 20957
- Last visitor: guest
- Member since: May 27 2005
- Last signin: Aug 7 2008
- Send a message
- Add as friend
- Add to ignore list
- Add to block list


