| « October 2008 » | ||||||
|---|---|---|---|---|---|---|
| S | M | T | W | T | F | S |
| 1 | 2 | 3 | 4 | |||
| 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10 | 11 |
| 12 | 13 | 14 | 15 | 16 | 17 | 18 |
| 19 | 20 | 21 | 22 | 23 | 24 | 25 |
| 26 | 27 | 28 | 29 | 30 | 31 | |
Recently by Abee
- Mausam e Gul Ya Khizaan
- Harf e Aakhir Kisi Laparwah Ke Naam
- Harf e Dua
- Some Rules Of Loving Women
- Shaheen... Hawa Ka Shahsawar
- list of work
- P.S
- Woh Sunehrey Din
- KHAMOSH MOHABBAT
- mark Of A Winner...
- Tu Bhi Dil Sey Utar Na Jaaye Kahein
- Khud Kushi
- Azaar Pasand
- Could Have Been Beautiful
- Bazm e Tanhai
- Sunehri Shaaam
Azaar pasand ho gaya hai dil. Aaj phir bewajah aankh bhar aaye. Socha keh ab kon sa dard dil pe dastak de raha hai, kon si yaad sata rahe hai iss nadaan ko. Dheerey sey thapak daitey hum iss dharkan ko ager koi eik aadh gham ya ranjish hoti, Mager kya karein keh jab iss sey bekarari ki wajah poochtey hain to yeh koi taweel daireena kissa lai baithta hai. Koi humnawa ya dost iss dil e nadaan ko samjhayey keh palat kar daikhney waaley patther ke ho jaatey hain. Lamhon mein sadyon ke marasim banana kahan ki danaee hai? Mager yeh apni khush fehm mohabbaton ka aseer hai, yeh faqt toot ker chahna jaanta hai. Kya dost, kya dushman, kya apney, kya parai, sab ko itna chahta hai keh dard sambhaley nahin sambhalta. Phir kaj fehmi ki yeh inteha keh sawal karta hai hum sey keh jab mein ne chahna aur pyar karna nahin chora to uss ney rishta kaisey torr diya? Ager bhiir mein kisi sey haath juda ho jaaye to kya rishtey naatey toot jaatey hain? Kon batayey iss deewaney ko keh log waqti marasim ke aadi hotey hain aur waqt guzar jaaye to unki ulfaton ke rang pheekay parr jaatey hain.
Mager hum apni zaat ke anokheypan sey majboor hain. Hum jis ko dost keh dain uskey rastey ke kanton sey humarey haath aashna ho jaatey hain. Phir woh miley ya na miley hum uski mushkilain chuntay rehtey hain. Ager yeh baat kisi ki samajh mein nahin aati, to nadaan hum hain ya woh? Hum jissey pyar kar baithein usko paaney ya khoney ka sawal baaki nahin rehta. Pyar to paaney aur khoney ke chakker sey azad hota hai. Yeh eik lamha hai jo zeest mein aa jaana bhi ghaneemat hai, eik ehsaas hai jo humain jeena sikhata hai. Eik dard hai jo shayad maut ke baad bhi hum sey juda na ho. Lekin yeh khud beeni, yeh azadi, rasaii aur narasaii sey mavra hai...hum jahan kaheen bhi huay humain uss ke ansoo rulain gay aur uss ki khushiyan hansain gi...pyar rishton naton sey azad rahe ga. Mager yeh baat humarey khud sakhta mabood ko bhi samajh nahin aati. Woh bhi pyar ko chand rishton ke naamon sey hi janta hai. Ager woh humain chu kar nahin dekhay ga, to ussey humaree ulfat ka yakeen nahin ho ga. Aur eik hum hain keh uski palkon ki eik larzish pe jaan dai aaye. Lekin na humarey dost burrey hain aur na mehboob. Yeh to humarey ishq ki inteha hai jis tak unki rasai nahin.
Besakhta meer ka sher yaad aaya,
"duur baitha ghubaar e rah sey meer
ishq bin yeh adab nahin aata"
Dil ne muskura ke kaha, keh mir sahib, aap ki mohabbat sey khud sataii aur gharoor ki mehak aati hai keh mehboob ki narazgi sey bachney ke liye aap ne faqt uska rasta chor diya, aur bas... ager hum kahtey to yun kehtey..
"door baitha ghubaar e meer uss sey
Ishq bin yeh adab nahin aata"
Khud hi kaheiyey meer jee keh aap ki mohabbat kahan aur humara ishq kahan? Humari khaak bhi uraii jaye to woh bhi mehboob sey duur baithey gi keh kaheen uski shaan mein gustakhi na ho. yeh woh ishq hai jo humarey khameer mein hai, aur iski khabar uss sitam gar ke kanon tak pohnchay, yeh khwahish humarey liye na manoos hai. khair yeh un batoun mein sey eik baat hai jo hum tanhai mein apni zaat sey kiya kartey hain. Aaj dil jal raha tha, to socha keh kuch kehtey suntay hain kisi sey, chahey yeh bhi wehm o guman hi ho humara. Mager aaj ki khalish rakam kar laitey hain.
humarey dost paraishan hon gay keh aaj aisa kya hua keh yeh betukki batein aur berabt khayalaat likh daaley. baat yeh hai keh kuch dinon sey humarey dil par naksh kuch mehrbaan chehron ke nikaab sirak rahe thai aur hum unki sooraton ko dekh ke hairaan bhi thai aur mehv e azaar bhi. Eik dost ne humari mohabbat ki toheen ki, humarey pyar ko humarey bewakoofi jaana aur hum sada ke ba murawwat, uss sey shikwa bhi na kar sakey. Eik mehrbaan ne humarey khaloos ka zayan kiya aur hum usko bhi khamoshi sey rukhsat kar aaye. Eik rakeeb ki takleef suni aur hum uski gham khwari ko jaa pohnchay. Abhi apni nadaniyon ka shumaar karna baaki hai, mager yeh jaana keh hum aisey hi hain. Humari akal humarey dil ki iss kaj fehmi ka koi ilaaj na kar paaye gi. Hum na kisi sey dushmani nibha saktey hain aur na dosti tark kar saktey hain. Phir kaisey mumkin hai keh hum iss dard aur ranj o gham sey azad ho jain. Socha ke chalo kuch aur nahin to iss gudazi ko likh chortey hain kisi dard bharey lamhe ke liye jab hum khud sey sawal karein ke yeh takleef kyun hoti hai, aur jawab apney hathon sey likha hua pain. Humarey khameer mein yeh deewangi hai jo humain aag ke kareeb bhi rakhti hai aur jalan ka aadi bhi nahin honey daiti. Aye naseh, Ilaj e dard o gham kya ho jab hum hi azaar pasand ho gaye!
add to my favorite ilogs
flag objectionable content
Abee
- Interacts: 35
- iLogs: 34
- Gallery: 5
- Page views: 20645
- Last visitor: guest
- Member since: Oct 22 2003
- Last signin: Oct 7 2008
- Send a message
- Add as friend
- Add to ignore list
- Add to block list


